Harre se baat ki maine,
Gulabi ko bhi samjhaya;
Tha adiyal Laal, thoda sa,
Kisi tarah usse laaya.
Tha Peela toh bada gau saa,
Woh jhat se ho gaya raazi;
Ki minnat Aasmani se,
Who hans ke bola, Ji haan Ji.
Chatakh Narangi chanchal tha,
Jo ki vinati, toh yeh bola;
Kya Holi aur Bina Pani,
Hoon itna main Nahi Bhola.
Usse phir maine batlaaya,
Jal ka mol samjhaya;
Kaha, ek din ki Holi main,
Humari iss thitholi main;
Kahin jeevan naa beh jaaye,
Na yeh dhadkan thehar jaaye;
Hain Rango ka tabhi matlab,
Woh jab muskaan ban paaye;
Hai rango mein tabhi garima,
woh jab jeevan mein Rang laaye.
Chalo khele Tilak Holi,
Ho aasha ki jhalak Holi;
Yeh sunkar woh bhi muskaya,
Tilak bankar woh sung aaya.
These are the words written by Prasoon Joshi, who is right now in full form. Beautiful words to describe value of precious water, and moral not to waste it on Holi's festival.
Gulabi ko bhi samjhaya;
Tha adiyal Laal, thoda sa,
Kisi tarah usse laaya.
Tha Peela toh bada gau saa,
Woh jhat se ho gaya raazi;
Ki minnat Aasmani se,
Who hans ke bola, Ji haan Ji.
Chatakh Narangi chanchal tha,
Jo ki vinati, toh yeh bola;
Kya Holi aur Bina Pani,
Hoon itna main Nahi Bhola.
Usse phir maine batlaaya,
Jal ka mol samjhaya;
Kaha, ek din ki Holi main,
Humari iss thitholi main;
Kahin jeevan naa beh jaaye,
Na yeh dhadkan thehar jaaye;
Hain Rango ka tabhi matlab,
Woh jab muskaan ban paaye;
Hai rango mein tabhi garima,
woh jab jeevan mein Rang laaye.
Chalo khele Tilak Holi,
Ho aasha ki jhalak Holi;
Yeh sunkar woh bhi muskaya,
Tilak bankar woh sung aaya.
These are the words written by Prasoon Joshi, who is right now in full form. Beautiful words to describe value of precious water, and moral not to waste it on Holi's festival.
Prasoon Joshi is the man of the moment! Amazing talent.
ReplyDeletethats really amazing and a good idea to celebrate the dry holi
ReplyDelete