My Lyrics Page

Bhoola Tujhe

( Fiqrana hoke hum jeeye
Khamakha hum jeeye na kyu
Beparvaah hoke hum jeeye
Khamakha hum jeeye na kyu ) - 2

Jeet-te hain adh adh ke hum
Fir-te hain fur fur fur se hum
Mil-te hain rom rom rom se hum
Chal-te hain dum dum dum se hum

Mehk-te gulzaron mein hum
Chamak-te sitaro mein hum
Dekh-te angaro mein hum
Lekhte hawao mein
Oh ye fiqrana…ye fiqrana…
Oh ye fiqrana…ye fiqrana…

Hain qaatil apni rangat
Hain shatir apni sangat
Thodhe se hum hain diwaane
Yehi hain apni daulat

Main puri karlu hasrat
Main mann ki saari mannat
Mujhe koi rok nahin… tok nahin…
Main manmana…
Hu junoon sukoon main sharara
Main mazaa…sazaa main aawaarah
Yeh maan le main hoon ishq ka maara

Hone de yeh mulakate
Thodhe din thodhi si raate
Sochenge fir yeh hum
Chahenge ya na chahenge hum

Jeet-te hain adh adh ke hum
Fir-te hain fur fur fur se hum
Mil-te hain rom rom rom se hum
Chal-te hain dum dum dum se hum

Mehk-te gulzaron mein hum
Chamak-te sitaro mein hum
Dekh-te angaro mein hum
Lekhte hawao mein
Oh ye fiqrana…ye fiqrana…
Oh ye fiqrana…ye fiqrana…

Hain qaatil apni rangat
Hain shatir apni sangat
Thodhe se hum hain diwaane
Yehi hain apni daulat

Toh karle sabse khilafat
Tu ban ja meri muhobbat
Jahan se lad jaunga
Mar jaunga main mastana

Toh shuru karu ishq badana
Jo kahe woh lage rab ko pana
Jo jale voh jale apna hain zamana…

Honge sang jo humara
Aasman ke yeh taare
Milenge tab tum-hum
Haan kar denge na na karenge hum

Jeet-te hain adh adh ke hum
Fir-te hain fur fur fur se hum
Mil-te hain rom rom rom se hum
Chal-te hain dum dum dum se hum

Mehk-te gulzaron mein hum
Chamak-te sitaro mein hum
Dekh-te angaro mein hum
Lekhte hawao mein
Oh ye fiqrana…ye fiqrana…
Oh ye fiqrana…ye fiqrana…




Bhoola Tujhe

Bhoola tujhe
Kaise kahaan
Hua tujhse kab juda
Ya khuda

Hasun ya main
Roun bata
Hui mujhse kya khata
Kya gunnah
Mere khuda

Yahi hai jo maalik teri razaa
Meri aazmaaish hai ya sazaa
Hayaat qayamat ki ya hai qazaa
Mere khuda

Bhoola tujhe
Kaise kahaan
Hua tujhse kab juda
Ya khuda
Pyaare khuda
Pyaare khuda

Bache koi khud se bhi
Bache na wo kismat se
Bache to woh bas teri azmat se

Der se ki dua
Dil se pehli baar yeh aayi hai

Mere pyaare khuda
Mere pyaare khuda

Bhoola tujhe
Kaise kahaan
Hua tujhse kab juda
Ya khuda

Hasun ya main
Roun bata
Hui mujhse kya khata
Kya gunnah
Mere khuda

Yahi hai jo maalik teri razaa
Meri aazmaaish hai ya sazaa
Hayaat qayamat kiya hai qazaa
Mere khuda
Mere pyaare khuda
Mere pyaare khuda





Mera Tumhara : Socha Na Tha

Mera tumhara' kia rishta hai
kuch bhi nahi
agar kabhi tum' guzarta dekho
kia tum mujhe' bulao gi
shayad nahi
agar jo phir hum' kabhi na mile tu
kia tum yaad aao gi' nahi
kion k tum meri koi nahi
main janta hoon magar
ho jub meri koi nahi
kion lagti ho mujh ko parai' nahi
ho ho ho ho... (x3)
jub bhi mile hum
aisa laga phir' milenge nahi
phir bhi najane kisi bahane
milte gaye hum tum agar kahin na kahin
jub aaj koi... nahi hain bahana
phir kion... tehar jain kadam...
yahin
ho tum meri koi nahi
main janta hoon magar
ho jub tum koi nahi
kion lagti ho mujh ko parai nahi
ho ho ho ho... (x2)
ek ajnabi se' itni na ki thi
baten kabhi
jo chaha dil ne' kehta gaya main
tum se koi bhi doori mujhe lagi na kabhi
paas tumhare aaya tha kitne
ye ehsaas ho raha hai mujhe abhi
per tum meri koi nahi
shayad mujhe hai yakeen
ho jub tum meri koi nahi
ho ho ho ho...(x7)

Na Sahi : Socha Na Tha

Ek ped milkar pyar ka, humne lagaya tha kabhi.
Aate jo phal to thik tha, woh na phale toh na sahi .
Kuch na hue to na sahi, na bane to na sahi,
Na mile na sahi, kuch na rahe to na sahi.

Aye zindagi.... har ek raaste se,
Humne pukaara tumhe, socha savara tunhe,
Par tumko accha na laga, koi wada saccha na laga,
Tum roothe ho yeh socha kar, Tum ko manayege magar.
Ab humse roothi teri yeh nazar.
Agar na hase to na sahi, na bane to na sahi,
Na mile na sahi, kuch na rahe to na sahi .

Tum rasta mein ajnabee, lagta tha kyun yeh har ghadi.
Aadhe adhure geet ki, ek tum kadi ek main kadi.
Ho.ho.ho..
Tum rasta mein ajnabee, lagta tha kyun yeh har ghadi.
Tumhe dekh ke lagta tha ye, tum ho bane mere vaaste,
Milna hi tha humko magar, Hum na mile to na sahi,
Ho.. Zindagi..

Seedhe Sadhe Dhang se : Socha Na Tha

Main seedhe saadhe dhang se, kehta hoon aapni baat
Ek ghar basaane chahata hoon, main tumhare saath
( Kya doogi mere haathon mein bolo tum aapna haath ) - 2

Main seedhe saadhe dhang se, kehta hoon aapni baat
Ek ghar basaane chahata hoon, main tumhare saath
( Kya doogi mere haathon mein bolo tum aapna haath ) - 2

Khushiyon se ghar ko sajaoonga hamesha
Dastar se bhi main waqt pe aaonga hamesha
Laoonga main thode taaza phool bhi
Karoonga main puri har khushi
Maanoonga main manoonga, manoonga har ek baat
Kya doogi mere haathon mein bolo tum aapna haath
Main seedhe saadhe dhang se, kehta hoon aapni baat

Chanda aur sitare laoonga teri khatir
Tum joh kaho main woh gaoonga teri khatir
Chalo yeh bhi tumse vaada hai mera chahoonga main tumhe toot ke
Jitna satao ya rulao jaaonga na kahin rooth ke
Aaonga main aaonga, aaonga tere pass
Kya doogi mere haathon mein bolo tum aapna haath

Main seedhe saadhe dhang se, kehta hoon aapni baat
Ek ghar basaane chahata hoon, main tumhare saath
( Kya doogi mere haathon mein bolo tum aapna haath ) - 3



Masakali - Delhi 6

Aye masakali masakali, ud matakali matakali,
Aye masakali masakali, ud matakali matakali.
Aye masakali masa masakali, ud matakali matakali,
Masakali masakali, ud matakali matakali.

Zara pankh jhatak, gayi dhool atak aur lachak machak ke door bhatak.
Ude dagar dagar kasbe khunche nukad basti mein (Yai yai),
Itri se mud, ada se udm karle puri dil ki tamana,
Hawa se jhud, ada se ud, phud phud phud tu hai heera panna re.

Masakali masakali, ud matakali matakali.
Masakali masakali, ud matakali matakali.

Ghar tera saloni, badal ki colony,
Dikhlade thenga in sabko jo udna na jaane.
Udiyo, na dariyo, kar manmaani manmaani man maani,
Bhadiyo, na mudiyonm kar nadaani.
Udiyo, na dariyo, kar manmaani manmaani man maani,
Bhadiyo, na mudiyonm kar nadaani.
Gataan le, muskaan le, keh sanana nanana nana hawa,
Bas thaanle, tu jaanle, keh sanana nanana nanan hawa.

Aye masakali masakali, ud matakali matakali,
Aye masakali masa masakali masakali masakali, ud matak matak matak matak.

(Humming Vocals)

Tujhe kya gum, tera rishta gafan ki baansuri se hain,
Pawan ki guftagu se hain, suraj ki roshni se hain.
Udiyo, na dariyo, kar manmaani manmaani man maani,
Bhadiyo, na mudiyonm kar nadaani.
Udiyo, na dariyo, kar manmaani manmaani man maani,
Bhadiyo, na mudiyonm kar nadaani.
Gataan le, muskaan le, keh sanana nanana nana hawa,
Bas thaanle, tu jaanle, keh sanana nanana nanan hawa.

Masakali masakali, ud matak matak matakali,
Masakali masa masa masakali, matak matak matak matak.

Hahahaha


Arziyan [Maula] - Delhi 6


Arziyaan sari mein chehre pe likh ke laaya hoon
Tumse kya mangu mein tum khud hi samjah lo

ya maulaaaa....

Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Maula Maula

Dararein dararein hain Maathe pe maula
Marammat muqddar ki kar do maula
Mere Maula
Tere Dar pe Jhuka hoon, Mita hoon bana hoon
Marammat muqddar ki kar do maula
Marammat muqddar ki kar do maula

Jo bhi tere dar aaya
Juhkne jo sar aaya
MAstiyan piye sabko
Jhoomta nazar aaya
Jo bhi tere dar aaya
Juhkne jo sar aaya
MAstiyan piye sabko
Jhoomta nazar aaya

Pyaas le ke aaya tha,
Dariya woh bhar laya
Noor ki barish mein beeghta sa tar aaya
Noor ki barish mein beeghta sa tar aaya

Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Maula Maula

Dararein dararein Maathe pe maula
Marammat muqddar ki kar do maula
Mere Maula


Jo bhi tere dar aaya
Jhukne jo sar aaya
MAstiyan piye sabko
Jhoomta nazar aaya

Jo bhi tere dar aaya
Jhukne jo sar aaya
MAstiyan piye sabko
Jhoomta nazar aaya

O Ek khusbu aati thi
O Ek khusbu aati thi

Mein bhatakta jata tha
Reshmi si maya thi
Aur mein takta jata tha
Jab teri gali aaya
Sach tabhi nazar aaya

Jab teri gali aaya
Sach tabhi nazar aaya

Mujh mein hi woh khushboo thi
Jisse tune milwaya

Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Maula Maula


Dararein dararein hai Maathe pe maula
Marammat muqddar ki kar do maula
Mere Maula

Aaa...aaaa

Tut ke bikharna mujhko zarur aata hai
Tut ke bikharna mujhko zarur aata hai
Varna ibadat wala ssarur aata hai

sajde mein rehne do
abb kahin na jaunga

sajde mein rehne do
abb kahin na jaunga

Abb jo tumne tukhraya to
Sawar na paunga

Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Maula Maula

Dararein dararein hai Maathe pe maula
Marammat muqddar ki kar do maula
Mere Maula

Sar utha ke mene to kitni khwahishe ki thi
Kitne khwaab dekhe the kitni koshishe ki thi

Jab tu rubaru aaya
Jab tu rubaru aaya Nazarein na mila paya
Sar jhuka ke ek pal mein

Sar jhuka ke ek pal mein
Mene kya nahi paya

Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Maula Maula

Mere Maula ..
Maula Maula Maula Mere Maula

Mora piya ghar aaya
Mora piya ghar aaya
Mora piya ghar aaya
Mora piya ghar aaya
...............

Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Mere Maula
Maula Maula Maula Maula
Maula Maula Maula Maula

Mere Maula ..
Maula Maula Maula Mere Maula
Mere Maula ..

1 comment:

  1. Anonymous03:07

    such flawless beauty and precision of wordings...on top of that the layering of interpretations that have been bestowed upon the lyrics...this one has put prasoon joshi in the same league as gulzar for me....Khurram Haque

    ReplyDelete

 
Related Posts with Thumbnails